Mirza Ghalib Famous Poetry Collection |mirza Ghalib Best Poetry In Urdu| Best Urdu poetry

Baykhudi babasi nahi hain ghalib
kuch thu hain jiski pardari hian

dard doszakh bhi lutuf janat bhi
hai kia cheez hain muhabat bhi

Jatay huwai kahtay ho qyamat ko milangay
kia khub qyamat ka hain ! goya koi din aur
hoga koi aisa bhi ghalib ko najanay
shair thu wo acha hain pah badnam bohut hain
howie mudath ko ka ghalib margaya per yad ata hian
woh har ek bath per kahna kah yo hota thu kia hota
zindagi jab apni shakal sai guzri ghalib
hum bhi yad karay gay kah khuda raktay thay
arz niazi ishaq kah qabi na raha
jis dil pah naaz tha mujah wo dil nahi raha
haran ho tum ko majid main daik kar ghalib
aisa bhi kia howa kah khuda yad agaya
ye masiel taswaf per tera bayan ghalib
tujhay hum wahi samjtay , jo nah bada khwar hota
qasid kah ate khat ek aur likh kahh rako
main janta hoon jo woh likayngay jawab main
tangi dil ka gila kia , ye wo kafir dil hain
kah agar thang na hota , thoh parishan hota
kab woh sunta hain kahani mere
aur phir bhi zubani mere
bina faqeero ka hum bhees ghalib
tamash ahlay karam daiktay hain
baaziichaa-e-atfaal hai duniyaa mere aage
hotaa hai shab-o-roz tamaashaa mere aage
ik khel hai aurang-e-sulemaaN mere nazdiik
ik baat hai ijaaz-e-masiihaa mere aage
juz naam nahiiN suurat-e-aalam mujhe manzuur
juz vahm nahiiN hastii-e-ashyaa mere aage
hotaa hai nihaaN gard meN sehraa mere hote
ghistaa hai jabiiN Khaak pe dariyaa mere aage
mat puuchh ke kyaa haal hai meraa tere piichhe
tuu dekh ke kyaa rang hai teraa mere aage
phir dekhiye andaaz-e-gul’afshaanii-e-guftaar
rakh de ko’ii paimaanaa-e-sahbaa mere aage
nafrat ka gumaaN guzre hai maiN rashk se guzraa
kyuuN kar kahuuN lo naam naa us kaa mere aage
aashiq huuN pe maashuuq-farebii hai mera kaam
majnuuN ko buraa kahtii hai lailaa mere aage
hai mauj’zan ik qulzum-e-KhuuN kaash! yahii ho
aataa hai abhii dekhiye kyaa-kyaa mere aage